har kadam pe hain ye kiske nishaan, har mod par hai ye badli hawa,
ye waqt kehta hai mujhse ye tera hai nishaan, nasheman bhi tera.
khwaab aur bhi hain bas aankh na khul jae,
ye fasane hi sahi dil ghabra na jae.
har taraf hai masle masael
aur ye raat bhi jaise pulsiraat
na jaane ye subh kab aaegi ye rut kab jaegi
khwahisheyn na chalengi ab in hasraton ke saath.
thoda aur so leyn in khamoshiyon mein,
mujhe aur bhi hai chalna in kaafilon ke saath
ae khuda mujhe de aur sukoon
zarra bhi nahi hota mujhse ye nifaaq